Biography :

Hazrat Ghulaam Muhammad Miskeen Shaah rahmatullāhi alaihi :

♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦


Aap ka watan Kishtwa (Kashmir) hai.


1258 Hijri (1842 A.D.) me Aap apne Peer Hazrat Shaah Niyaaz Ahamd Bareilwi rahmatullāhi alaihi ke farmaan par Jaipur tashreef laaye aur apni Khaanqaah ta’ameer ki aur ta’aleem wa tadrees shuru ki.


Aap akṡar waqt Ibaadat wa riyaazat me guzaarte.


Jaipur ki hukoomat ne Aap ko 2 gaanv jaagir me diye the.


****************

Aap ke wisaal ba’ad aap ke saahabzaade Hazrat Zaheer-ud-deen Shaah rahmatullāhi alaihi Sajaada nasheen bane.


****************

Aap Hazrat Shaah Niyaaz Ahamd Bareilwi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap ‘Chishti Nizaami Niyaazi’ silsila ke shaikh hain.


Aap ke khulfa :

(1) Hazrat Maulana Saadiq Shaah Jaipuri rahmatullāhi alaihi 

(2) Hazrat Maulana Nijaabat Ali Shaah rahmatullāhi alaihi

(3) Hazrat Maulana Sikandar Ali Shaah rahmatullāhi alaihi.


****************

Aap ka wisaal 28 Jamaadi-ul-Awwal 1275 Hijri (3 January 1859 A.D.) ko hua.


****************

Aap ka mazaar Ghat Gate, Jaipur (Rajasthan) me hai.


****************

Mazeed Posts ke liye Website dekhen :

(For more posts Visit this website) :


http://fikreummat.net/


****************

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me

Aur Hazrat Ghulaam Muhammad Miskeen Shaah rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se

Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.

Aur Sab ko duniya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.

Aameen.

Pir o Murshid :


Silsila :


Khulafas :


FAQ :