Biography :

Hazrat Peer Maulana Muhammad Ilm-ud-deen Qaadri rahmatullāhi alaihi :

♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦


Aap ki wilaadat 1339 Hijri (1921 A.D.) ko Karachi me hui.


****************

Aap ke waalid ka naam Hazrat Maulana Haafiz Ghulaam Rasool bin Maulana Haafiz Muhammad Ilm-ud-deen Qaadri rahmatullāhi alaihi hai aur aap ki waalida Hazrat Abdul Ghani rahmatullāhi alaihi ki saahabzaadi hain.


Aap ke waalid aur daada Karachi ke mumtaaz aalim wa soofi the.


****************

Aap ki ta’aleem wa tarbiyat aap ke waalide mohtaram ki zere nigraani hui.


Aap apne waalid ki qaa'im karda ‘Qaadri Masjid’ me bataure naa'ibe imaam wa’az wa deegar muamalaat ko anjaam dete the aur 1383 Hijri (1964 A.D.) me aap ke waalide mohtaram ki jaeefi aur na-saazi ki wajah se ‘Qaadri Masjid’ ke e’azaazi Imaamat wa khitaabat ke aur roohaani salaasil ke muamalaat ko anjaam dena shuru kar diya.


Karachi me jab ‘All India Sunni Conference’ ki shaakh ‘Jamiate Aaliya Sunniya’ ke naam se qaa'im hui to us me Aap ke waalid Sadr aur Aap Naa'ib Naazim muqarrar hue.


****************

1390 Hijri (1971 A.D.) me apne waalid ke wisaal ke ba’ad Aap Khaanqaahe Qaadriya Ilmiya ke sajjaada nasheen bane.


Aap har Shabe Hafta, Shabe Jumeraat aur har maah ki 11wi shab ko Mehfile Zikr munaaqid karte.

Har 14wi shab ko Hazrat Maulana Jalaal-ud-deen Rumi rahmatullāhi alaihi ki ‘Maṡnawi Ma'anwi’ ka dars dete.

Har 17wi shab ko Hazrat Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi alaihi ki yaad me Majlise Faatiha mun'aaqid karte.


Maahe Moharram me 10 din tak Aap Karachi me majaalis me Shahaadate Imaam Husain radiy-Allāhu  anhu ka bayaan farmaate.


Aap hamesha logo ko Auliya wa Asfiya ke aqaa'd ke baare me taaleem dete.

Aap ne apni taqreero se Ahle Sunnat wal Jama’at ki azeem khidmat ki.


****************

Aap ne bahot saari Hamd, Na’at shareef wa Manaqabat likhi hai.


****************

Aap (apne waalid) Hazrat Maulana Haafiz Ghulaam Rasool Qaadri rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap ‘Qaadri Ilmi’ silsila ka Shaikh hain.


Aap ke khalifa Hazrat Soofi Abdul Ghani Qaadri rahmatullāhi alaihi hain.


****************

Aap ka wisaal 25 Jamaadi-ul-Awwal 1406 Hijri (6 February 1986 A.D.) ko Jumeraat ke roz ba-waqt Zohar hua.


Aap ki namaaze janaaza baad namaaze Jum’aa (aap ke bahenoi) Hazrat Maulana Haafiz Abdul Hayy Haashmi al-Qaadri ne padhaai jis me hazaaro ki ta’adaad me mureedeen wa mo’ataqideen shareek hue.


****************

Aap ka mazaar Qaadri Masjid, Karachi (Pakistan) me Aap ke waalid ke mazaar ke qareeb ke hai.


****************

Mazeed Posts ke liye Website dekhen :

(For more posts Visit this website) :


http://fikreummat.net/


****************

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me

Aur Hazrat Peer Maulana Muhammad Ilm-ud-deen Qaadri rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se

Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.

Aur Sab ko duniya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.

Aameen.

Pir o Murshid :


Silsila :


Khulafas :


FAQ :