Biography :
Hazrat Imaam Shaikh Muhammad Anwaarullāh Khan Faarooqi rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Shaikh-ul-Islaam.
****************
Aap ki wilaadat 4 Rabi-uṡ-Ṡaani 1265 Hijri (27 February 1849 A.D.) ko Nanded me hui.
****************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Maulwi Haafiz Shuja-ud-deen bin Qaazi Siraaj-ud-deen rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Anwar-un-nisa Begum hai.
Aap Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain aur Hazrat Khwaja Sultaan Ibrāheem bin Ad'ham rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.
Aap ke pardaada Farrukh Shaah Kabuli Kabul aur Ghazna ke Sultaan the. Hulagu Khan ne jab hamla kiya to Farrukh Shaah Kabuli Mongol lashkar ke saath ladte hue Kabul me shaheed hue. Is ke ba’ad unke saahabzaade Shaikh Shuaib Kabul se Lahore aaye aur phir waha se Kasur aur phir Multan aaye aur aakhir me 519 Hijri (1125 A.D.) me Khotwal me qayaam kiya.
****************
Aap ki waalida jab haamila thi tab unho ne khwab me Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat ki aur Qur'ān majeed ki tilaawat karte dekha.
****************
7 saal ki umr me Aap ke waalid ne Aap ko Haafiz Amjad Ali ko supurd kiya, jo na-bina the. 11 saal ki umr me Haafiz e Qur'ān hue.
Phir Aap ne apne waalid se ta’aleem haasil ki. Maulana Abdul Haleem Firangi mahali aur Maulana Abdul Hayy Firangi mahali se Fiq'h aur Mantiq ki ta’aleem haasil ki. Phir Maulwi Fayyaz-ud-deen Aurangabadi se Fiq'h ki ta’aleem haasil ki. Shaikh Abdullāh Yemeni se Hadeeṡ aur Tafseer ki ta’aleem haasil ki aur Sanad haasil ki.
Phir Aap ne apne waalid se Tasawwuf aur sulook ki ta’aleem haasil ki.
****************
1285 Hijri (1868 A.D.) me Aap ko munshi ke ohade par muqarrar kiya gaya. Dedh saal tak kaam karne ke ba’ad ek baar Aap ko sood ke kaagzaat tayyar karne ke liye gaya. Aap ne inkaar kar diya aur apna istifa de diya. Aap ke aala afsaro ne wa’ada kiya ke aainda aap ko aisa kaam nahi diya jaayega lekin Aap ne daftar me kaam karne se inkaar kar diya.
****************
19 Zil Hijjah 1292 Hijri (16 Jaunary 1876 A.D.) ko Maulwi Muzaffar-ud-deen ke ghar par ulama ke majme me yeh tay hua ke Hyderabad me aala deeni ta’aleem ke liye ek idaara qaa'im kiya jaaye aur yeh bhi tay hua ke Hazrat Imaam Anwaarullāh Khan Faarooqi ko is idaare ka sadr aur naazim muqarrar kiya jaaye. Is tarah Aap Jaamia Nizaamiya ke baani me shaamil hain.
****************
1294 Hijri me jab Haramain shareefain tashreef le gaye to Hazrat Haaji Imdaadullāh Muhaajir Makki rahmatullāhi alaihi ki khidmat me haazir hokar un se faiz haasil kiya aur khilaafat wa ijaazat haasil ki.
****************
Maulwi Zamaan Khan ki shahaadat ke baad unke bhai ko Nawaab Meer Mahboob Ali Khan ke ustaad muqarrar kiya gaye. Lekin masroofiyat ke sabab unho ne Imaam Anwaarullāh Khan Faarooqi aur Sayyed Ashraf Husain ko unki jagah par muqarrar karne ki peshkash ki. Shuru me aap ne inkaar kiya lekin istikhaara karne ke baad 1295 Hijri me Aap chhathe Nizaam ke ustaad bane.
****************
1305 Hijri me teesri martaba Hajje Baitullāh ada karne ke ba’ad Aap ne 3 saal tak qayaam farmaaya. Is dauraan Aap ne ‘Anwaar-e-Ahmadi’ kitaab likhi aur Jaame Masaaneed, Sunan Bayhaqi, Kanz-ul-Ummal aur deegar kitaaben khareedkar apne saath laaye.
Hazrat Haaji Imdaadullāh Muhaajir Makki rahmatullāhi alaihi aur Madeena ke buzurgaan ke farmaan par Aap Hindustan waapas aaye aur Deccan me qayaam karke ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe.
****************
Waapas aakar Aap 7we Nizaam Nawaab Meer Uṡmaan Ali Khan ke ustaad bane. Jab Nawaab Meer Uṡmaan Ali Khan ne Aap ko Deccan ke Sadr-us-Sudoor banaaye. Aap ne mana kiya aur farmaaya ke “Meri umr 55 saal ho gai hai.” Lekin Nizaam ne arz kiya “Is daur me Aap se behtar aur koi nahi hai.” Ba’ad me Nizaam ne Aap ko Deeni umoor ke wazeer bhi banaaye.
****************
Aap ne 3 martaba Hajje Baitullāh aur Ziyarat ki sa’adat haasil ki : 1294 Hijri me, 1301 Hijri me aur 1305 Hijri me.
****************
Jab koi shakhs bai'at ke liye aata to pehle aap mana kar dete. Agar bahot zyada israar kare to Aap use ‘Qaadri’ silsila me mureed karte. Agar koi dusre silsile me mureed hona chaahe to Aap ‘Chishti’ ya deegar silsile me mureed karte aur us shakhs ko us silsile ke makhsoos awraad wa azkaar sikhaate.
****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Al-Kalaam-ul-Marfoo fee Maa Yata Allaqa bil Hadeeṡil Mauzoo
(2) Maqaasid-ul-Islaam (11 Jild)
(3) Afaadatul Afhaam (2 Jild)
(4) Anwaar-ul-Haqq
(5) Anwaar-e-Ahmadi
(6) Haqeeqat-ul-Fiq'h (2 Jild)
(7) Kitaab-ul-Aql.
****************
1289 Hijri (1872 A.D.) me Aap ka nikaah Maulwi Haaji Ameer-ud-deen ki saahabzaadi se hua. Jin ka inteqaal 26 Ramazaan 1304 Hijri ko Hyderabad me hua.
Aap ke 2 saahabzaade aur 3 saahabzaadiya hain :
(1) Abdul Jaleel (3 saal ki umr me inteqaal hua),
(2) Abdul Quddoos (10 saal ki umr me inteqaal hua).
****************
Aap (apne waalid) Hazrat Maulwi Haafiz Shuja-ud-deen rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Haaji Imdaadullāh Muhaajir Makki rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.
****************
1336 Hijri me Aap ki peeth me ek phoda hua. Kisi bhi dawa se phoda theek na hua aur aakhir me cancer tashkhees [diagnosis] kiya gaya. Nizaam ne qaabil doctor bulaaye aur operation kiya gaya. Doctor ne Aap ko bataaya ke “Aap theek ho gaye ho.” Namaaze maghrib ke ba’ad doctor Aap ko dekhne ke liye aane waale the lekin us se pehle aap ko chakkar shuru hue. Aap ne kalma e shahaadat padha aur ghuroobe aaftaab ke waqt aap ne inteqaal farmaaya.
****************
Aap ka wisaal 29 Jamaadi-ul-awwal 1336 Hijri (12 Marcg 1918 A.D.) ko hua.
****************
Aap ka mazaar Jaamiz Nizaamiya, Hyderabad (Telangana) me hai.
Mazeed Posts ke liye Website dekhen :
(For more posts Visit this website) :
http://fikreummat.net/
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Imaam Shaikh Muhammad Anwaarullāh Khan Faarooqi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko duniya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.